Total Pageviews

Saturday 27 August 2011

LahOre

safar ka agaaz zara dair se hua...kuch ghair mukawako halaat bh ajatay hain kabhi kabhi...khair safar stat hua tau mausam aisa suhana ho gya kay jis ki ummed na thi. aik dil se bas arzoo nikli thi kay Allah karay mausam acha ho...ku kay august ka maheena aur phr lahore ki garmi...sonay pe suhaga...

khair kabhi badal.kabhi barish aur kabhi thoro boht dhoop


.....ye sab cheezain hamsafar thi...iss kay saath saath internet ki sahooliyaat bhi mayassar thi..aur facebooking k bghair tau jaisay banda adhoora h hay...kuch puranay new banday add kiye..block list edit hui...

sab se interesting baat tab hui jab ham pindi bhatyaan thehray gas k liye and udhr aik tuck shop pe meray kapray istri lkiye gayay...and ladies washroom main ghuss kay main ne apna libas pehna..aur tayyari ki...asian medical association pakistan ki meeting thi...koi mazak thorai tha..:P

khair safar aik baar phi shuru hua...laikin mausam tau boht hi mehrbaan tha aj ham pe...khair khuda khuda kar kay lahore main entry mari..ab kisay khabar kay MM alam road kis konay main pai jati hay....bas yei pata tha kay ye koi aik ghanta lagay ga pohnchanay main....aik chowk pe police walay hazarat se poocha unhoon ne guide kia khair...chaltay chalatay...abhi ham MM alam road pe pohnchay bhi nae thay k xiwang restaurent nazar aya..(ham ne bhi isi nam k restaurent main jana tha..:P) khair ham ne road ka janay bghair entry maaar di hotel main....n shuu ho gayay reseration talash karnay AMSA ki....ooper wali manzil pe bhi ham gayay....aur na janay kis maqsad kay liye ayay huay aik joray se ham ne poochay k bhai aap amsa k tau nae...:P

udhar se moon ki khanay kay baad...ham MM alam ki taraf chalay...bhooltay poochtay ham pohnch gayay...khair main tab pohncha jab sab kuch ho chuka tha...iftari ka time hi tha almost...seedhay RC maryam kay sar pe...k i m Omer kazi..khair seat inayat ki gai...iftari hui..khanay peenay k baad kuch kaam ki baatein and chutti....

ab masla darpaish ayay kay rehaish kahan pazeeri jay........lahore ka canal road ka ird gird kay kaaafi ilaqa chaan lainay kay baad....hamain johr town main aik hotel mayassar aaa hi gya.....jitna gur dala...matlab achay kkhasay paisay diye....room uss lehaaz se fit tha.......



qari sudais sab haq tv pe nimaz-e-taraweeh kay saath nazar arahay hain...and main ye soch raha hoon kay har ramzaan ki tarah iss baar bhi main apni bakhshish nae kara saka..:(...pata nae agla ramzn mjhauy naseeb bhi ho ga kay nae....

No comments:

Post a Comment