Total Pageviews

Tuesday 30 August 2011

Ham KiA haIN

hamaray rawayyoon se na janay kyoon bardasht khatam ho gai hay....ham aik doosray ko ku katnay ko dortay hain....hamain apna aap kay ilawa koi cheez pasand nai ati....koi aisi baat kar day jo hamaray mutabik ghalat ho tau ham usay bilkul suntay nae...pata nae hamari zindagyoon main doosray ka wajood ku itna hakeer ho gya hay.......janwar bhi apni specie ka khyaal rakhtay hain...magar ham tau unn se bhi badtar htay ja rahayhain..



kal rawalpindi food street main iftari kay liye jana tha...and signal pe traffic jam thi...ku kay iftari ka waqt tha....kuch larkay apni apni garyoon se utar kay traffic rawaan karnay ki koshish main thay....khair itni dair main aik khan sahab ayay...aur unhoo ne roknay kay bjay taqreeban uss larkay kay ooper charha di...ab larai start ho gai....donoon dast-o-gareebaan ho gayay....pass kay log chura rahay thay..jab uss larkay ko side pe kia gaya tau wo door se dorta hua aya aur uss ne uss almost apni baap ki age kay banday ko face pe (jis kay ooper darhi bhi thi) chanta day maara....khair larai tau rafa dafa ho hi gai.....

laikin sochnay ki baat ye hay kay ham har shobay main aisay hi hain....bardasht hamaray andar khtm ho gai hay....ham aisi choti baatoon pe lartay hain...road pe...shops pe...khailtay huay...schools main...colleges main.... parliaments main...aur doosray mulkoon main ja kay unn ko maar kay...







larai aik gali ki ho ya jang 2 mulkoon ki....ye aik rawayya hay...jo kay khatarnak hay...ye baatsach hay kay insan k genes main ye khaami hay...laikin iss pe qaboo pana zaroori hay...

bardasht karna aman ka paish klhaima hay....jis muashray se bardasht khatam ho jati hay wahan se aman sakoon insaaf bhi chala jata hay....aur zindagi ko jnnat se jahannum bannay main zada dair nae lagti..........



No comments:

Post a Comment