Total Pageviews

Sunday 4 September 2011

uN Ki eID

har baar ki tarha iss baar bhi meray kapray nayay thay.....eid se kuch din pehlay hi sari tayyarian shuru ho gai thi....subah meethay main kia khain gay...bachoon ki eidi ka bhi intzaam ho gya tha....nayay nayay note bankoon se nikalwa liye gayay thay....eid kay din nashtay,  lunch aur dinner kay menu bhi ban gayay thay....ye bhi decide ho gya tha kay kis waqt ka khana kahan khana hay...

sab nayay nayay kapray pehnay eid parhnay bhi pohnch gayay....laikin har baar ki tarha iss baar bhi jab ham eid ki nimaaz parh kay bahar niklay...tau kuch bachay phir pichli eid ki tarha haath phailay...ganday kapray pehnay...bghair meetha kha'ay...masjid kay bahir kharay thay.....aur ham se apni eidi ki bheek mang rahay thay...



aur ham har baar ki tarha unn se bach bach kay nikal rahay thay...unn se eid milna tau door ki baat unn k qareeb se guzarna bhi hamain gawara nae tha....unn main se kisi kay maan baap hoon gay nae tau kisi kay iss qabil nae hoon gay kay unhain eid ki wo khushyaan day sakain jo eid parh kay nikalnay walay baaki bachoon ko mayassar thi....kia ham uss main se jo kay hamain kisi ne dia hay inn bachoon ki eidi nae bana saktay.....kia ham unhain galay nae laga saktay...

hamari aik baaat...aik harkat....un ki hasrat bhari eid ko asal eid main badal sakti hay....



No comments:

Post a Comment