Total Pageviews

Friday 16 September 2011

WaQt BoHt KaM HaY

kusch dinon se zindagi ik bemaza si cheez lag rahi hay....kasiay ham zindagi ki lambi line main lagtay hain aur phir dortay chalay jatay hain....hamain kuch pata nae hota ham kidhr ja rahay hain....ham boht si galyoon aur sarkoon se guzartay hain....boht se logoon se miltay hain....hamain logoon se aur logoon ko ham se mohabbat ho jati hay.....ham zindagi se pyaar karnay lagtay hain....aur jab hamain wo sab kuch milnay lagta hay ya mil chuka hota hay tau ham iss zindagi ko chor kay agli manzil ki taraf chal partay hain...

gathering of people around the dead body of Brig Sanaullah khan at army grave yard rawalpindi
..

aur ham manoon matti kay neechay daba diye jatay hain...jis kay ooper hamaray chahnay walay boht pakki pakki qabrain banatay hain....aur phir hamain akailay chor kay chalay jatay hain...sari baatein dunya main chor jatay hain....sab get togethers...sab parties....sab kaam...sab dost....parents.....sab kuch jis ka poori zindagi ham khyaal kartay hain aur inn se aik pal ki doori bhi bardasht nae kartay....

ham maut ki haqeeqat se itnay door ho kay na janay kin bhool bhulayoon main bhatkay jatay hain....

shayad aaj main bhi ye baatein na likh raha hota agar main bhi aik qabristaan se roz na guzarta. hota

A grave yard in rawalpindi 

....dooor tak qabroon ka aik lamba silsila.....ye log bhi kabhi zameen kay ooper htay hoon gay....subah tayaar ho kay kaam pe jatay hoon gay...inn main se bhi koi doctor ho ga...koi engineer ho ga...koi riikshaw driver ho ga....kisi kay ghar partyaan hoti hoon gi...kisi ko dostoon ka boht khyaal hota ho ga....

mera guzar jab bhi inn qabroon se hota hay....na janay ku mjhay shiddat se iss baat ka ehsaaas hota hay kay....main bhi tau unn jaisa aik insaan hoon....mjhay bhi marna hay....waqt meray liye bhi boht kam reh gya hay.....mgar jab qabristaan khtam hota hay....main bhi unhi bhool bhulayoon main bhtak jata hoon aur ye bhool jata hoon kay main ne bhi marna hay.......

No comments:

Post a Comment