Total Pageviews

Tuesday, 23 August 2011

hazaRooN khwAhishaIn

insaan zindagi main boht kuch chahta hay...and boht si cheezoon ko paanay kay liye khaloos kay saath koshish bhi karta hay....wo apnay aap ko rab kay huzoor bhi paish karta hay....aur rab se apni khwahish ki takmeel kay liye girgira kay mangta bhi hay



...din raat usi baat kay liye sota jagta hay....uthtay bethtay aik hi cheez ka khyaal hota hay....yahaan tak kay uss ki sari zindagi usi aik maqsad kay hasool kay liye reh jati hay..aur phir bhi wo usay hasil na kar pa'ay...???




kia ye bhi mumkin hay???

gee...insaan jab ye sab kuch kar raha hota hay...tau wo ye bhool jata hay kay aik aisi hasti bhi maojood hay kay jo uss se 70 maoon se bhi zada pyaar karti hay





...aur jis se wo aik cheez ki farmaish baar baar kar raha hay wo uss kay liye theek bhi hay kay nae...agar aik bacha aik maan se aisi chez ki farmaish karay jo uss key liye theek nae laikin wo uss kay liye utni hi zid karay ga jitni aik insaan kisi cheez ki khwahish kay liye karta hay...laikin agr aik maan bachay ki wo khwahish poori nae karay gi....jo iss bachay k liye theek nae tau 70 maoon kay barabar pyaar karnay wali hasti kaisay wo khwaahish poori honay day di.........

Allah insan ko mukhtalif tareekoon se azmaata hay....unn main se aik baat dua ko uss tareekay se qabool na karna hay jiss tarha ham mangtay hain....aur dua kay qabool na hnay ki soorat main Allah se gila shikwa karna eemaan ki kamzori ki alaamat hay....Allah dua zaroor poori karta hay magar wo aisi cheez kisi banday kay liye qabool nae kar sakta jo uss kay liye theek nae...


insaan ko jaldbaaz kaha gya hay....insaan apnay pooray hoso hawas main bhi apnay buray bhalay ko itna nae jan sakta jitna uss ko paida karnay wala usay janta hay....

iss liye hamain har haal main shukar ada karna chahiye....aur jab ham Allah se mangtay hain tau uss pe bharoosay bhi karna chahiye kay wo jo karay ga theek karay ga....

"Alhamdulillah, zindagi jaisi bhi hay..boht se logoon se behtar hay..aur ye iss se kaheen zada buri ho sakti hay...main uss cheez kay liye Allah ka shukar ku na karoon jis se uss ne mjhay bachaya hua hay...bja'ay iss kay kay main uss baat kay liye nashukra ho jaoon jo us ne mjhay nae di n mjhay pta bhi nae hay k wo meray liye theek bhi hay kay nae"





No comments:

Post a Comment